7:36 PM

Kis tarah yad rakhon kese bhulaon tujh ko Tu koi rasm nahi hy k nibhaon tujh ko Roz ankhon se bikharta hy naya khuwab koi, Dil ye kehta hy na ankhon mein sajaon tujh ko Khuwab hotey hain ye chahat k meethey rishtey Bhool kar bhi kabhi dushman na banaon tujh ko Tere janey pe tarapta hy bohat dil lekin Zabt itna hy k phir bhi na bulaon tujh ko Zindagi konse taron ka falak hy sagar Kis tarah apna sitara mai banao tujhko.